Timepass

Timepass

drashaya,
Train ka slipper coatch,
Darwaze per 2 aader umra ke vyakti kade the,,
aur vo waha per ek chote baccha .. shyad aawara type ka tha.. agle kisi station per utarne ki jaldi me tha..

Addmi1 .. school jata hai..
ladka bahar jhankt
e hue.. naa me sir hilata hai..

aadmi1.. fir bada ho kar kya banega
aadmi2... chori karega aur kya..

aadmi1.. ambani bhi ban sakta hai.. aise hi kahi kuch sangat baith jaaye to.. hai ki nahi..

ladka itna dhyan nahi de raha.. bahar dekhna jaari rakhta hai.. aage peeche.. shyad TT ke dar se

aadmi2. inke maa baap ki galti hai.. paida kar ke chood dete hai..
aadmi1 sahi baat hai.. inki galti nahi hai..

addmi1 .. kyo re maa baap mana nahi karte ..

kyoo..maa baap dhyaan nahi dete kya..

ladka.. maa baap nahi hai..

aadmi 1 .. matlab

maa chali gai kahi.. aur baap bhi pahale chala gaya fir mar gaya...

aadmi1.. fir kaha rahata hai..
ladka .. aise hi.. logo ke saath

Aadmi1 .. fir to bada ho kar laawaris ban sakta hai.. amtaab bacchan .. hai.. kyo re

dono aadmi taali dete hue.. tahaka lagate hai..ab us baache me unki dilchaspi nahi hai .. unka time paass ho chuka tha..

ladka..shyad agle dibbe me chala gaya tha..

Comments

Popular posts from this blog

आज कल

ग़ालिब के मनपसंद शेर

सआदत हसन मंटो की कहानी : टोबा टेकसिंह